Akbar Allahabadi

Ulfat se teri qat'a nazr ho nahe sakti
yeh baat tu achi hay magr ho nahe sakti
Akbar Allahabadi aik boht bara naam hay. Youn tu unhoon ne zeyada tar tanzah-o-mazah ke shayri ke hay lekn unn ke ghazal ka andaz bhe bharpoor hay. Akbar nain apni qalm se taqrabeen wohi kaam liya ju Iqbal nay liya. Albata doonon ka andaz juda hay. Yeh haqeeqat khasi dilchasp hay ke aik daur main Iqbal Akbar ke parivi karnay pe majboor hogyay aur unn ke qalm se aisay qata'at niklay ju bilashuba Akbar ke shairi ka charba kehay ja saktahy hain.
Aik qata'a mulheza ho...
Rang-e-sharab se neyat meri badl gye
wa'ez ke baat reh gye, saqi ke chal gye
tayar tha namaz pe main sunn ke zikr-e-hoor
jalwa batoon ka dhaik ke neyat badl gye
Zail ke asha'ar main jazbaat negari bharpoor andaz main milti hay agrche yeh unnkay uss daur ke shaeri hay jab pukhtagi nisbatan kam the.
Aaj aaraesh-e-gasooayay du ta hoti hay
phir meri jaan girfataar-e-bala hoti hay
phir kisi kaam ka baaqi nahe rehta insaan
sach tu yeh hay ke mohabbat bala hoti hay
Kuch asha'ar mazeed.. donon asha'ar main mouakhar-a-zikr tu aisa hay ke adab se ma'amooli sa mas rakhnay waloon ko bhe yaad hoga.
Ghamza nahe hota ke ishaara nahe hota
aankh unn se ju milti hay tu kia kia nahe hota
hum ah bhe kartahy hain tu ho jaatay hain badnaam
wo qatl bhe kartay hain tu charcha nahe hota
Adab..