Aik ghazal by Farhad

Ishq maiN kisi ka bhala hua hai kabhi?
umar bhar kelea koi kisi ka hua hai kabhi
Kia ishq kay baghair zindgi kat jati hai
kia dard-e-dil tumhaiN hua hay kabhi
be a'aitnai maiN bhe aik tarz-e-iltafat hai
soz-e-ishq ka nishtar tumhaiN chubha hai kabhi
ek sakoot-e-bekaran chaya hai wajood per
Kia be-sabab ji udaas hua hai kabhi
ye rag rag maiN narm narm se kasak
kia jigar boond boond tapka hai kabhi
pehli mulaqat, achanak uskay hont choom leyay
"Aisa deweena-e-yakta kaheen hua hai kabhi"
ishq kay gham khanoo se gar kabhi reha huay Farhad
kia lagho umeed hai, aisa hazrat hua hai kabhi!
0 comments