Yeh piyara sa jo rishta hain
Yeh ek piyara sa jo rishta hai, Kuch mera hai, Kuch tera hai
Kahen likha nahin kahin parha nahin, Kahin dekha nahin, kahin suna nahin
Phir bhi jana pehchana hai, Kuch mera hai, Kuch tera hai
Kuch masoom sa, Kuch ulbela, Kuch apna sa, Kuch begana
Kuch chanchal sa, Kuch sharmila, Kuch sukh sa, Kuch sunjeeda
Kuch uljha huwa, Kuch suljha suljha, Kuch masti bhara, Kuch khafa khafa
Kuch mera hai Kuch tera hai , Yeh piyara sa jo rishta hai
Kabhi kari dhoop main saya hai , Kabhi andheri raat main jugnu hai
Kabhi bin badal barsaat hai, Kabhi bhatkay howaon ka rah-bar hai
Kabhi rasta hai, Kabhi manzil hai,
Yeh piyara sa jo rishta hai , Kabhi dhagay say isay bandha nahin,
Kabhi haq bhi to apna jataya nahin, Phir bhi yeh kitna piyara hai,
Jisay hum nay sachey moti ki tarhan Dil ki sipi main qaid kiya,
Sab ki nazro’n say dhanp liya, Kabhi maan diya, kabhi aetbar kiya,
Sub kuch hi is par var diya,
Kuch mera hai Kuch tera hai, Yeh piyara sa jo rishta hain