Hikayat e S,Ady (RA)
Hazdir Damagh Ghulam
Iran ke mash,hoor badishah Umer daleeth ka aik ghulam moqA pa kr bhaag gia.leikin logon ko mAloom ho gia or forun griftaar kr k le Aiy.
Badishah ka aik wazeer kise baat se ghulam se naraz tha.usne mushwra dia k ghulam ko saza k Tor pe Qatl kia jaiy.ta k doosare ghulam aisi jurrat na karein. Ghulam samajh gia k ye dushmani ki bina per mera Qatl chahta hai. us ne bare adab se Badshah se kaha, theek hai k mein ne ghalati ki hai leikin mein Ap se buhat muhabbat rakhta hun, aur mein nahi chahta k Akhrat mein Ap k sar mere khoon ka elzam aiy. Ap iss k lye koi Uzr peida karein. Badishah ne kaha wo kaise, ghulam ne kaha k mein aisa karta hun k iss wazeer ka qatl karta hun or uske elzam mein Ap mujhe Qatl karwa dein ta k Ap qeyamat k din burizima ho jain. Badishah ko ghulam ki iss baat se hunsi A gai, phir wazeer se mushwra manga, wazeer khauf se kanpte huve bola, Hazoor Ap iss fitne ko apne bazurgon ke sadke Azad hi kr dein to acha hai, ye na ho k ye mujhe kise museebat mein phansa de.
Itni bari museebat mein ghulam ne hazdir damaghi se jaan bachaiy.
Hazdrat sheikh sAdii ne Aqalmandi aur hoshmandi ke fawaed ki taraf ishara kia. k kabhi doosron ka bura na chaho warna insaan khud museebat mein phans jata hai.