mazahiya shaeri
Insaani zingdi ke tarah adab main bhe mazah ke kaafi ehmeyat hay. Tanz-o-mezah bunyadi taur per koi elada sinf-e-sukhan nahe bilkay aik raveyay ya mezaj ka naam hay chunache ye nazm main bhe likha ja sakta hay aur nasr main bhe.
Tanz-o-mazah kay baaray main ye baat yaad rakhnay wali hay ke ye sirf tafreeh ke cheez nahe balkay iss se insaan kay nukta-e-nazr main wasaat paida hoti hay. Mazah se zindgi ke pershenayan khatam tu nahe hoten albata kam zaroor ke jasakti hain.
Urdu zaban ko kai aisay shaer aur mazah-nigar milay jinho nay apnay fann se Urdu zaban kay iss khal ko bhar diya.
Urdu shaeri main zarafat kay asli baani Akbar Allahabdi hain.. iss thread ke shoorowat unnhi kay kalam se kartay hain...
Hoon main wo rind agar hashar main mulzam tehroon
faisalay kay leyay hooron ka commission baithay!
charkh se kuch umeed thi he nahe
aarzo main nay koi ke he nahe
poocha Akbar hay aadmi kaisa
hans kay bolay wo aadmi he nahe