Mir Taqi Mir

mathboy
By mathboy

Qadr rakhti na thi mata'a-e-dil
saray a'alam main main dheka laya

Mir's poetry is one of its own kind, a perfect and unique blend of elements of tragedy, love and mysticism, that no other Urdu poet (his contemporaries and others) could exhibit. Some of his asha'ar..

sarapay pe jis jah nazr kejayay
tamam umar waheen basr kejayay

khilna kam kam kali nay seekha hay
uss ke aankhoon ke neem-khawabi se

Nazke uss ke lab ke kia kehyay
phankari ek gulab ke se hay

When Mir is musical his every word contains 'soz' and 'saz' in it. See..

Gul ko hota saba qarar ay kaash
rehti ek aadh din bahar ay kaash
be-ajl Mir ab marna para
ishq kartay na ikhtiyar ay kaash

Mir Taqi Mir ko 'Mir khudayay sukhen' se leker 'Mir baddamagh' tak qism qism ke naamon se pukara jaata hay. Inn ke shaire kay baray main yeh baat bhe azhad mashoor hay ke unn ke bahter nashtar moujod hain. Mohammed Hussain Azad jaisa tazkra-nawees bhe yeh kehta hay ke Mir ke bahter nashtar kay alawa baqi sab kuch Mir saheb ka tabarak hay. Jis ka matlab yehi samjh aata hay ke inn bahater asha'a ke alawa Mir ke boht kam asha'ar aisay hain jo dil per barah-e-rasat asrandaz hotay hoon. Lekin aisay baat kehna shayed Mir ke saath insaaf nahe. Unn kay kalam ke miqdar ka andaza kartay huyay yeh baat kehta ke sirf bahatar asha'ar he kaam ke hoon gay, Mir se be-behra honay ke alaamat hay. Mera Mohammed Hussain Azad ke rayay per yeh kehna yaqeenan Yaas Yagana ka barah-e-rasat Ghalib ke munh aanay jaisa hay. Jab Yagana khud ko Ghalib ke muqablay per rakhtay huyay yeh tak keh sakthay hain ke..

Ghalib aur Mirza Yagana ka
aaj kia faisala karay koi

Main ne socha agar man Mohammed Hussain Azad ku Mir se beh-behra kehdoon ga tu koi aisi qayamat nahe ajayay ge. Yeh baat tu sach hay ke Azad nay apni ketab 'aab-e-hayat' main baaz jaghon pe aitdaal ka daman chor diya tha. Zouq ke baray main hadd darja ke mubalghaarai, Ghalib ku Zouq se kamtar sabet karna aur Aab-e-hayat ke phelay nuskhay main Mouman ko shaamil na karna. Khair.. main Mir ke tarf wapas aata hoon. Agrche yeh baat darust hay ke Mir nay boht sa ratab-o-yabis bhe likha hay lekin iskay bawjood unn ke haan umda asha'ar ke ta'adad kaafi zeyada hay. Ayay Mir ke fanni azmat ka thora sa suragh lagatay hain.

Mir ka haan ju soz-o-gudaz, hazan-o-malal ke anaser miltay hain wo unn ke mo'asreen he nahe ba'ad ke duar main bhe kisi ke paas dhekaye nahe daitay. Zahir hay aisi hazneya shairi keleyay jaisi dhakoon bhari shakhseyat ke zararoot ho sakti hay wo Mir ke alawa kahan ho ge. Albata Nasir Kazimi ke shaeri main Mir ke shaeri ka mezaj kisi had tak hay. Taham Mir ka sa andaz paida karan namumkan baat hay. Mir apnay rang main munfarid aur yakta hain.

Mir ke zaati halaat aisay thay ke unn ke shakseyat uss main dab kar reh gye. Wo umar bhar rotay bhe rahay aur rulatay bhe rahay. Unn ke kalam main shookhi ya neshateya a'anaser ke talash be-sood hay albata hazan-o-malal aur soz-o-gudaz ka rang gehra hay. Saadgi aur slasat ka a'nsar unn ke haan boht zeyada hay. saada aur chotay sh'er main bari bari baat keh jaatay hain..

Uss main rah-e-sukhn niklti ay kaash
sh'er hota tera sha'ar ay kaash

Zail ke asha'ar main gehraye bhe hay aur fanni nazakat bhe..

Ye jo do aankh mand gayeyn meri
uss pe wa hotein ay kaash
kis nay apni museebtain na genye
rakhtay meray bhe gham shumar ay kaash

Taham Mir ka asl rang unn ka soz-o-gudaz hay.. mulheza kejayay

Jo iss shoor se Mir rota rahay ga
tu hamsaya kahay ko sota rahay ga

Ashk aankhoon main kab nahe aata
lahoo aata hay jab nahe aata

Mir sahib ka mahboob mashghala agrche rona dhona he tha lekin kabhi kabhar wo ronay key alawa sonay ka kaam bhe kar liya kartay thay! Farmatay hain

Sarhany Mir ke ahista bolo
abhi tuk rotay rotay so gaya hay

Boht sa'e karyay tu mar rehyay Mir
bas apna tu itna he maqdoor hay

Main apnay likhay huyay ko isqadar kamtar janta hoon ke main likh kar ussay khud dubara nahe parta. Nazr-e-sani na honay ke wajha se meri tehreer main fanni kharabyoon kay alawa boht saari hejjay ke ghaltiyan hoonge... Main iskeleyay aap se ma'afi chahta hoon.. thora sa darguzar kejeyay ga.

Kind Regards,

Guzergah-e-khayal - Urdu Forum
http://guzergah-e-khayal.groups.live.com/

Log in or register to post comments

More from Qatar Living

Qatar’s top beaches for water sports thrills

Qatar’s top beaches for water sports thrills

Let's dive into the best beaches in Qatar, where you can have a blast with water activities, sports and all around fun times.
Most Useful Apps In Qatar - Part Two

Most Useful Apps In Qatar - Part Two

This guide brings you the top apps that will simplify the use of government services in Qatar.
Most Useful Apps In Qatar - Part One

Most Useful Apps In Qatar - Part One

this guide presents the top must-have Qatar-based apps to help you navigate, dine, explore, access government services, and more in the country.
Winter is coming – Qatar’s seasonal adventures await!

Winter is coming – Qatar’s seasonal adventures await!

Qatar's winter months are brimming with unmissable experiences, from the AFC Asian Cup 2023 to the World Aquatics Championships Doha 2024 and a variety of outdoor adventures and cultural delights.
7 Days of Fun: One-Week Activity Plan for Kids

7 Days of Fun: One-Week Activity Plan for Kids

Stuck with a week-long holiday and bored kids? We've got a one week activity plan for fun, learning, and lasting memories.
Wallet-friendly Mango Sticky Rice restaurants that are delightful on a budget

Wallet-friendly Mango Sticky Rice restaurants that are delightful on a budget

Fasten your seatbelts and get ready for a sweet escape into the world of budget-friendly Mango Sticky Rice that's sure to satisfy both your cravings and your budget!
Places to enjoy Mango Sticky Rice in  high-end elegance

Places to enjoy Mango Sticky Rice in high-end elegance

Delve into a world of culinary luxury as we explore the upmarket hotels and fine dining restaurants serving exquisite Mango Sticky Rice.
Where to celebrate World Vegan Day in Qatar

Where to celebrate World Vegan Day in Qatar

Celebrate World Vegan Day with our list of vegan food outlets offering an array of delectable options, spanning from colorful salads to savory shawarma and indulgent desserts.